His poetry is enough to understand the Falsafa-e-Khudi...
Us qaum ko shamsheer ki haajat nahin rehti
Ho jis ke jawaanon ki khudi soorat-e-faulaad
Shaheen kabhi pervaaz se thak ker nahin girta
Pur dam hai ager too, to nahin khatra-e-uftaad
********************
Her lehza hai momin ki nayee aan nayee shaan
Guftaar mein Kirdaar mein Allah ki burhaan
Qahhary-o-Ghaffary-o-Quddusy-o-Jabrood
Ye chaar anaasir hon to banta hai muslmaan
Ye raaz kisi ko nahin maloom k momin
Qaari nazer aata hai haqiqat mein hai Quran
********************
Aaeen-e-jawaan merdi, haq goi-o-babaaki
Allah ke shairon ko aati nahin robaahi
Kaafir ho to shamshir per kerta hai bharosa
Momin ho to betaigh bhi lerta hai sipaahi
********************
Mein tujh ko batata hoon taqdeer-e-umem kya hai
Shamsheer-o-sina awwal, taaoos-o-rabab aakhir
********************
Jahaan mein ahl-e-imaan, soorat-e-khursheed jeetay hein
Idher doobay udher niklay, udher doobay idher niklay

0 comments:
Post a Comment